رمزِ زندگیRamz E Zindagi

چمک تيري عياں بجلي ميں ، آتش ميں ، شرارے ميں

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Chamak Teri Ayan Bijli Mein, Atish Mein, Sharare MeinJhalak Teri Haweda Chand Mein, Suraj Mein, Tare Mein
Shariat Kyun Gireban-Geer Ho Zauq-e-Takallam KiChupa Jata Hun Apne Dil Ka Matlab Istaare Mein
Jo Hai Baidar Insan Mein Woh Gehri Neend Sota HaiShajar Mein, Phool Mein, Haiwan Mein, Pathar Mein, Sitare Mein
Mujhe Phoonka Hai Souz-e-Qatra-e-Ashak-e-Mohabbat NeGhazab Ki Aag Thi Pani Ke Chote Se Sharare Mein
Nahin Jinse-e-Sawab-e-Akhrat Ki Arzoo Mujh KoWoh Soudagar Hun, Main Ne Nafa Dekha Hai Khasare Mein
Sukoon Na-Ashna Rehna Isse Saman-e-Hasti HaiTarap Kis Dil Ki Ya Rab Chup Ke Aa Baithi Hai Pare Mein
Sadaye Lan Tarani Sun Ke Ae Iqbal Mein Chup HunTaqazon Ki Kahan Taqat Hai Mujh Furqat Ke Mare Main