رمزِ زندگی
Ramz E Zindagi
Shayar
Mauzu
Roz ka sher
Ramz
Meri pasand
Search
Home
›
Shayar
›
Allama Iqbal
›
Nazm
دوستارے
Nazm ·
Allama Iqbal ·
علامہ اقبال
· 6 sher · Roman Urdu ke saath
جدائی
Judai
رات
Raat
امید
Umeed
آئے جو قراں میں دو ستارے
کہنے لگا ایک ، دوسرے سے
Aye Jo Qiran Mein Do Sitare
Kehne Laga Aik, Dusre Se
یہ وصل مدام ہو تو کیا خوب
انجام خرام ہو تو کیا خوب
Ye Wasl Madaam Ho To Kya Khoob
Anjaam-e-Kharaam Ho To Kya Khoob
تھوڑا سا جو مہرباں فلک ہو
ہم دونوں کی ایک ہی چمک ہو
Thora Sa Jo Mehrban Falak Ho
Hum Dono Ki Aik Hi Chamak Ho
لیکن یہ وصال کی تمنا
پیغام فراق تھی سراپا
Lekin Ye Visal Ki Tamanna
Pegham-e-Faraaq Thi Sarapa
گردش تاروں کا ہے مقدر
ہر ایک کی راہ ہے مقرر
Gardish Taron Ka Hai Muqaddar
Har Aik Ki Rah Hai Muqarrar
ہے خواب ثبات آشنائی
آئین جہاں کا ہے جدائی
Hai Khawab Sabat-e-Ashnayi
Aaeen Jahan Ka Hai Judai
Allama Iqbal ka aur kalaam
Koi aur sher