رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نہ تو زمیں کے لیے ہے نہ آسماں کے لیے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

na tū zamīñ ke liye hai na āsmāñ ke liyejahāñ hai tere liye tū nahīñ jahāñ ke liye
ye aql o dil haiñ sharar shola-e-mohabbat kevo ḳhār-o-ḳhas ke liye hai ye nīstāñ ke liye
maqām-e-parvarish-e-āh-o-lāla hai ye chamanna sair-e-gul ke liye hai na āshiyāñ ke liye
rahegā raavī o niil o furāt meñ kab taktirā safīna ki hai bahr-e-be-karāñ ke liye
nishān-e-rāh dikhāte the jo sitāroñ kotaras ga.e haiñ kisī mard-e-rāh-dāñ ke liye
nigah buland suḳhan dil-navāz jaañ pur-sozyahī hai raḳht-e-safar mīr-e-kārvāñ ke liye
zarā sī baat thī andesha-e-ajam ne usebaḌhā diyā hai faqat zeb-e-dāstāñ ke liye
mire gulū meñ hai ik naġhma jibra.īl-āshobsambhāl kar jise rakkhā hai lā-makāñ ke liye