رمزِ زندگیRamz E Zindagi

پھول کا تحفہ عطا ہونے پر

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Woh Mast-e-Naaz Jo Gulshan Mein Ja Niklti HaiKali Kali Ki Zuban Se Dua Niklti Hai
“Elahi! Phoolon Mein Woh Intikhab Mujh Ko KareKali Se Rashak-e-Gul-e-Aftab Mujh Ko Kare”
Tujhe Woh Shakh Se Torain! Zahe Naseeb TereTarapte Reh Gye Gulzar Mein Raqeeb Tere
Utha Ke Sadma-e-Furqat Wisal Tak PohnchaTeri Hayat Ka Jouhar Kamal Tak Pohncha
Mera Kanwal Le Tasadduq Hain Jis Pe Ahl-e-NazarMere Shabab Ke Gulshan Ko Naaz Hai Jis Par
Kabhi Ye Phool Hum Aghosh-e-Mudda Na HuwaKisi Ke Daman-e-Rageen Se Ashna Na Huwa
Shugufta Kar Na Sake Gi Kabhi Bahar IsseFusurda Rakhta Hai Gulcheen Ka Intizar Isse