رات اور شاعر
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 14 sher · Roman Urdu ke saath
Kyun Meri Chandni Mein Phirta Hai Tu PreshanKhamosh Soorat-e-Gul, Manind-e-Bu Preshan
Taron Ke Moutiyon Ka Shaid Hai Jouhari TuMachli Hai Koi Mere Darya-e-Noor Ki Tu
Ya Tu Meri Jabeen Ka Tara Gira Huwa HaiRiffat Ko Chor Kar Jo Pasti Mein Ja Basa Hai
Khamosh Ho Gya Hai Tar-e-Rabab–E-HastiHai Mere Aaeene Mein Tasveer-e-Khawab-e-Hasti
Darya Ki Teh Mein Chashm-e-Gard Ab So Gyi HaiSahil Se Lag Ke Mouj-e-Betaab So Gyi Hai
Basti Zameen Ki Kaisi Hangama Afreen HaiYun So Gyi Hai Jaise Abad Hi Nahin Hai
Shayar Ka Dil Hai Lekin Na-Ashna Sukoon SeAzad Reh Gya Tu Kyunkar Mere Fusoon Se
Main Tere Chand Ki Khaiti Mein Guhar Bota HunChup Ke Insanon Se Manind-e-Sehar Rota Hun
Din Ki Sourish Mein Niklte Huwe Ghabrate HainUzlat-e-Shab Mein Mere Ashk Tapak Jate Hain
Mujh Mein Faryad Jo Pinhan Hai, Sunaon Kis KoTapish-e-Shauq Ka Nazzara Dikhaon Kis Ko
Barq-e-Aeman Mere Seene Pe Pari Roti HaiDekhne Wali Hai Jo Ankh, Kahan Soti Hai!
Sift-e-Shama-e-Lehd Murda Hai Mehfil MeriAh, Ae Raat! Bari Door Hai Manzil Meri
Ehd-e-Hazir Ki Hawa Raas Nahin Hai Iss KoApne Nuksan Ka Ehsas Nahin Hai Iss Ko
Zabt-e-Pegham-e-Mohabbat Se Ghabrata HunTere Tabindah Sitaron Ko Suna Jata Hun