رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جواب شکوہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti HaiPar Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai
Qudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti HaiKhaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai
Ishq Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak MeraAasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera
Peer-e-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi!
Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi!Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!
Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan SamjhaMujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha
Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Awaz Hai Kya!Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya!
Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya?Aa Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya?
Ghafil Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise HainShokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise Hain!
Iss Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham HaiTha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai?
Alam-e-Kaif Hai, Dana-e-Ramooz-e-Kam HaiHaan, Magar Ijz Ke Asrar Se Namehram Hai
Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon KoBaat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!
Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana TeraAshk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera
Asmangeer Huwa Naara-e-Mastana TeraKis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera
Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu NeHum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne
Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi NahinRah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin
Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi NahinJis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin
Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar HainUmmati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain
But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar HainTha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain
Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi NayeHarm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye
Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai ThaNazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!
Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar LoMillat-e- Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!
Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari HaiHum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai
Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari HaiTumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?
Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi NahinJazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin
Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum HoNahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho
Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum HoBaich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho
Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar KeKya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke