قرب سلطان
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath
Tameez-e-Hakim-o-Mekhoom Mit Nahin SaktiMajal Kya Ke Gadagar Ho Shah Ka Humdosh
Jahan Mein Khawajah Prasti Hai Bande Ka KamalRazaye Khawajah Talab Kun Qabaye Rangeen-Posh
Magar Gharz Jo Husool-e-Razaye Hakim HoKhitab Milta Hai Mansab Parast-o-Qoum Farosh
Purane Tarz-e-Amal Mein Hazar Mushkil HaiNaye Asool Se Khali Hai Fikar Ki Aghosh
Maza To Ye Hai Ke Yun Zair-e-Asman Rahye“Hazar Guna Sukhan Dar Dahan-Wa-Lab Khamosh”
Yehi Asool Hai Sarmaya-e-Sukoon-e-Hayat“Gadaye Ghosha Nasheeni To Hafiza Makhrosh”
Magar Kharosh Pe Mayal Hai T To Bismillah“Bageer Badah-e-Safi, Babang-e-Ching Ba Nosh”
Shareek-e-Bazam-e-Ameer-o-Wazeer-o-Sultan HoLara Ke Torh De Sang-e-Hawas Se Shisha-e-Hosh
Payam-e-Murshid-e-Sheeraz Bhi Magar Sun LeKe Hai Ye Sirr-e-Nahan Khana-e-Zameer-e-Sarfarosh
“Mehel-e-Noor-e-Tajalli Sat Raye Anwar ShahCho Qurb O Talabi Dar Safaye Niyyat Kosh”