عيد پر شعر لکھنے کي فرمائش کے جواب ميں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Ya Shalamaar Mein Ek Barg-e-Zard Kehta ThaGya Woh Mousam-e-Gul Jis Ka Raazdar Hun Main
Na Paimaal Karain Mujh Ko Zaeeran-e-ChamanInhi Ki Shakh Nasheman Ki Yadgar Hun Main
Zara Se Patte Ne Betaab Kar Diya Dil KoChaman Mein Aa Ke Sarapa Gham-e-Bahar Hun Main
Khazan Main Mujh Ko Rulati Hai Yad-e-Fasl-e-BaharKhushi Ho Eid Ki Kyunkar Ke Sougwar Hun Main
Ujaar Ho Gye Ehd-e-Kuhan Ke MaikhaneGuzishta Badah Praston Ki Yaadgar Hun Main
Payam-e-Aysh-o-Massarat Humain Sunata HaiHilal-e-Eid Humari Hansi Urata Hai