فاطمہ بنت عبداللہ
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath
Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom HaiZarra Zarra Teri Musht-e-Khak Ka Masoom Hai
Ye Sa’adat, Hoor-e-Sehrayi! Teri Qismat Mein ThiGhaziyan-e-Deen Ki Saqqayi Teri Qismat Mein Thi
Ye Jihad Allah Ke Raste Mein Be-Taegh-o-SiparHai Jasarat Afreen Shauq-e-Shahadat Kis Qaddar
Ye Kali Bhi Iss Gulistan-e-Khazan Manzar Mein ThiAesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi
Apne Sehra Mein Bohat Aahu Abhi Poshida HainBijliyan Barse Huway Badal Mein Bhi Khawabida Hain!
Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein HaiNaghma-e-Ishrat Bhi Apne Nala-e-Matam Mein Hai
Raqs Teri Khak Ka Kitna Nishat Angaiz HaiZarra Zarra Zindagi Ke Souz Se Labraiz Hai
Hai Koi Hangama Teri Turbat-e-Khamosh MeinPal Rahi Hai Aik Qoum-e-Taza Iss Aghosh Mein
Bekhabar Hun Gharche Un Ki Wusaat Se MeinAfreenash Dekhta Hun Un Ki Iss Marqad Se Mein
Taza Anjum Ka Faza’ay Asman Mein Hai ZahoorDidah’ay Insan Se Na-Mehram Hai Jin Ki Mouj-e-Noor
Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam SeJin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-e-Subah-o-Sham Se
Jin Ki Tabani Mein Andaz-e-Kuhan Bhi, Nau Bhi HaiAur Tere Koukab-e-Taqdeer Ka Parto Bhi Hai