رمزِ زندگیRamz E Zindagi

شعاع آفتاب

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

Main Ne Pucha Uss Kiran Se “Ae Sarapa Iztarab!Teri Jaan-e-Na-Shakeeba Mein Hai Kaisa Iztarab
Tu Koi Choti Si Bijli Hai Ke Jis Ko AsmanKar Raha Hai Khirman-e-Aqwam Ki Khatir Jawan
Ye Tarap Hai Ya Azal Se Teri Khu Hai, Kya Hai YeRaqs Hai, Awargi Hai, Justujoo Hai, Kya Hai Ye?”
“Khufta Hungame Hain Meri  Hasti-e-Khamosh MeinParwarish Payi Hai Main Ne Subah Ki Aghosh Mein
Muztarib Har Dam Meri Taqdeer Rakhti Hai MujheJustujoo Mein Lazzat-e-Tanveer Rakhti  Hai Mujhe
Barq-e-Atish Khu Nahin, Fitrat Mein Go Naari Hun MainMehr-e-Alam Tab Ka Paigham-e-Baidari Hun Main
Surma Ban Kar Chashm-e-Insaan Mein Sama Jaun Gi MainRaat Ne Jo Kuch Chupa Rakha Tha, Dikhlaun Gi Main
Tere Maston Mein Koi Jooya’ay Hoshiyari Bhi HaiSone Walon Mein Kisi Ko Zauq-e-Baidari Bhi Hai?”