Qoum Ne Pegham-e-Gautam Ki Zara Parwa Na KiQadar Na Pehchani Na Apne Gohar-e-Yak Dana Ki
Ah! Bad-Qismat Rahe Azwaz-e-Haq Se Be KhabarGhafil Apne Phal Ki Sheerini Se Hota Hai Shajar
Ashakara Uss Ne Kiya Jo Zindagi Ka Raaz ThaHind Ko Lekin Khayali Falsafe Par Naaz Tha
Shama-e-Haq Se Jo Munawwar Ho Ye Woh Mehfil Na ThiBarish-e-Rehmat Huwi Lekin Zameen Qabil Na Thi
Aah! Shudar Ke Liye Hindustan Ghum Khana HaiDard-e-Insani Se Iss Basti Dil Begana Gai
Barhman Sarshar Hai Ab Tak Mai-e-Pindar MeinShama-e-Gautam Jal Rahi Hai Mehfil-e-Aghyar Mein
Butkada Phir Baad Muddat Ke Magar Roshan HuwaNoor-e-Ibraheem Se Azar Ka Ghar Roshan Huwa
Phir Uthi Akhir Sada Touheed Ki Punjab SeHind Ko Ek Mard-e-Kamil Ne Jagaya Khawab Se