Likha Hai Aik Maghrabi Haq Shanas NeAhl-e-Qalam Mein Jis Ka Bohat Ehtram Tha
Joulan Gah-e-Sikandar-e-Rumi Tha AsiaGardoon Se Bhi Buland Tar Uss Ka Maqam Tha
Tareekh Keh Rahi Hai Ke Rumi Ke SamneDawa Kiya Jo Poras-o-Dara Ne, Khaam Tha
Dunya Ke Uss Shahenshah-o-Anjum Sipah KoHairat Se Dekhta Falak-e-Neel Faam Tha
Aaj Asia Mein Uss Ko Koi Janta NahinTareekh Daan Bhi Use Pehchanta Nahin
Lekin Bilal (R.A.) , Woh Habshi Zada HaqeerFitrat Thi Jis Ki Noor-e-Nabuwwat Se Mustaneer
Jis Ka Amen Azal Se Huwa Seena-e- Bilal (R.A.)Mehkoom Uss Sada Ke Hain Shahanshah-o-Faqeer
Hota Hai Jis Se Aswad-o-Ahmar Mein IkhtilaatKarti Hai Jo Ghareeb Ko Hum Pehlu-e-Ameer
Hai Taza Aaj Tak Woh Nawa-e-Jigar GudazSadiyon Se Sun Raha Hai Jise Gosh-e-Charakh-e-Peer
Iqbal ! Kis Ke Ishq Ka Ye Faiz-e-Aam HaiRumi Fana Huwa, Habshi Ko Dawam Hai