تضمين بر شعر صائب
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Kahan Iqbal Tu Ne Aa Banaya Ashiyan ApnaNawa Iss Bagh Mein Bulbul Ko Hai Saman-e-Ruswai
Sharare Wadi-e-Ayman Ke Tu Bota To Hai LekinNahin Mumkin Ke Phoote Iss Zameen Se Tukhme-e-Seenai
Kali Roz-e-Nafas Se Bhi Wahan Gul Ho Nahin SaktiJahan Har Shay Ho Mehroom-e-Taqazaye Khud Afzai
Qayamat Hai Ke Fitrat Sou Gyi Ahl-e-Gulistan KiNa Hai Baidar Dil Peeri, Na Himmat Khawah Barnai
Dil Agah Jab Khawabida Ho Jate Hain Seenon MeinNawa Gar Ke Liye Zaherab Hoti Hai Shakar Khai
Nahin Zabt-e-Nawa Mumkin To Urh Ja Iss Gulistan SeKe Iss Mehfil Se Khoshtar Hai Kisi Sehra Ki Tanhai
“Haman Behtar Ke Laila Dar Bayan Jalwa Gar BashadNadarad Tangnaye Sheher Taab-e-Husn Sehrai”