رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جنگ ير موک کاايک واقعہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath

Saf Basta The Arab Ke Jawanan-e-TaeghbandThi Muntazir Hina Ki Uroos-e-Zameen-e-Shaam
Ek Naujawan Soorat-e-Seemab MuztaribAa Kar Huwa Ameer-e-Asakar Se Hum Kalam
Ae Bu-Ubaidah (R.A.) Rukhsat-e-Paikaar De MujheLabraiz Ho Gya Mere Sabr-o-Sakoon Ka Jaam
Be Taab Ho Raha Hun Mein Firaaq-e- Rasool (S.A.W.) MeinEk Dam Ki Zindagi Bhi Mohabbat Mein Hai Haraam
Jata Hun Mein Huzoor-e-Risalat Panah (S.A.W.) MeinLe Jaun Ga Khushi Se Agar Ho Koi Peyam
Ye Zauq-o-Shauq Dekh Kar Purnam Huwi Woh AnkhJis Ki Nigah Thi Safat-e-Taegh-e-Benayam
Bola Ameer-e-Fouj Ke “Woh Naujawan Hai TuPeeron Pet Ere Ishq Ka Wajib Hai Ehtaram
Pure Kare Khuda’ay Muhammad (S.A.W.) Teri MuradKitna Buland Teri Mohabbat Ka Hai Maqam!
Pohanche Jo Bargah-e- Rasool-e-Ameen (S.A.W.)   Mein TuKarna Ye Arz Meri Taraf Se Pas Az Salam
Hum Par Karam Kiya Hai Khuda’ay Ghayoor NePuray Huwe Jo Wade Kiye The Huzoor (S.A.W.) Ne