پيوستہ رہ شجر سے ، اميد بہار رکھ
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Dali Gyi Jo Fasal-e-Khazan Mein Shajar Se TootMumkin Nahin Hari Ho Sahab-e-Bahar Se
Hai La-Zawal Ehd-e-Khazan Uss Ke WasteKuch Wasta Naahin Hai Usse Barg-o-Baar Se
Hai Tere Gulistan Mein Bhi Fasal-e-Khazan Ka DourKhali Hai Jaib-e-Gul Zr-e-Kamil Ayaar Se
Jo Naghma Zan Thay Khalwat-e-Auraq Mein TayoorRukhsat Huway Tere Shajar-e-Sayadar Se
Shakh-e-Bureeda Se Sabaq Andoz Ho Ke TuNa Ashna Hai Qaida’ay Rozgar Se
Millat Ke Sath Rabta Ustawar RakhPewasta Reh Shajar Se, Umeed-e-Bahar Rakh!