تہ دام بھي غزل آشنا رہے طائران چمن تو کيا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Teh-e-Daam Bhi Ghazal Ashna Rahe Taaeeran-e-Chaman To KyaJo Faghan Dilon Mein Tarap Rahi Thi, Nawaye Ziar-e-Labi Rahi
Tera Jalwa Kuch Bhi Tasalli Dil-e-Na-Saboor Na Kar SakaWohi Garya-e-Sehri Raha, Wohi Aah-e-Neem Shabi Rahi
Na Khuda Raha Na Sanam Rahe, Na Raqeeb-e-Dair-o-Haram RaheNa Rahi Kahin Asadullah, Na Kahin Abu Lahbi Rahi
Mera Saaz Agarcha Sitam Raseeda-e-Zakhama Haye Ajam RahaWoh Shaheed-e-Zauq Wafa Hun Mein Ke Nawa Meri Arabi Rahi