رمزِ زندگیRamz E Zindagi

لا الہ الا اللہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha IllallahKhudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein HaiSanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka SodaFaraib Sood-o-Zayan, La Ilaha Illallah
Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-PewandButan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah
Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki ZunnariNa Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin PabandBahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah
Agarche But Hain Jamat Ki Astinon MeinMujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah