رمزِ زندگیRamz E Zindagi

معراج

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath

De Walwala-e-Shauq Jise Lazzat-e-ParwazKar Sakta Hai Woh Zarra Mah-o-Mehr Ko Taraaj
Mushkil Nahin Yaraan-e-Chaman! Maarka-e-BaazPursouz Agar Ho Nafs-e-Sina-e-Durraj
Nawak Hai Musalman, Hadaf Iss Ka Hai SurreyaHai Sirr-e-Sara Parda-e-Jaan Nukta-e-Miraaj
Tu Maanni-e-‘Wannajam’ Na Samajha To Ajab KyaHai Tera Mad-o-Jazar Abhi Chand Ka Mohtaaj