Kise Khabar Ke Hazaron Maqam Rakhta HaiWoh Faqr Jis Mein Hai Be-Parda Rooh-e-Qurani
Khudi Ko Jab Nazar Ati Hai Qahari ApniYehi Maqam Hai Kehte Hain Jis Ko Sultani
Yehi Maqam Hai Momin Ki Quwwaton Ka AyarIssi Maqam Se Adam Hai Zil-e-Subhani
Ye Jabr-e-Qehr Nahin, Ye Ishq-o-Masti HaiKe Jabr-o-Qehr Se Mumkin Nahin Jahan Baani
Kiya Gya Ha Ghulami Mein Mubtala Tujh KoKe Tujh Se Ho Saki Faqr Ki Nighebani
Misal-e-Mah Chamakta Tha Jis Ko Dagh-e-SujoodKhareed Li Hai Farangi Ne Woh Musalmani
Huwa Hareef-e-Mah-o-Aftab Tu Jis SeRahi Na Tere Sitaron Mein Woh Durkhashani