تو ابھی رہ گزر میں ہے قید مقام سے گزر
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
tū abhī rahguzar meñ hai qaid-e-maqām se guzarmisr o hijāz se guzar pāras o shaam se guzar
jis kā amal hai be-ġharaz us kī jazā kuchh aur haihuur o ḳhiyām se guzar bāda-o-jām se guzar
garche hai dil-kushā bahut husn-e-farañg kī bahārtā.erak-e-buland-bām dāna-o-dām se guzar
koh-shigāf terī zarb tujh se kushād-e-sharq-o-ġharbteġh-e-hilāl kī tarah aish-e-niyām se guzar
terā imaam be-huzūr terī namāz be-surūraisī namāz se guzar aise imaam se guzar