Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh SeHaq Tujhe Meri Tarah Sahib-e-Asrar Kare
Hai Wohi Tere Zamane Ka Imam-e-BarhaqJo Tujhe Hazir-o-Mojood Se Bezar Kare
Mout Ke Aaeene Mein Tujh Ko Dikha Kar Rukh-e-DostZindagi Tere Liye Aur Bhi Dushwar Kare
De Ke Ehsas-e-Zayan Tera Lahoo Garma DeFaqr Ki Saan Charha Kar Tujhe Talwar Kare
Fitna-e-Millat-e-Baiza Hai Imamat Uss KiJo Musalman Ko Salateen Ka Prestar Kare!