رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غزل - تيري متاع حيات، علم و ہنر کا سرور

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Teri Mata-e-Hayat Ilm-o-Hunar Ka SuroorMeri Mata-e-Hayat Aik Dil-e-Nasaboor!
Moujaza-e-Ahl-e-Fikar, Falsafa-e-Paich PaichMoujaza-e-Ahl-e-Zikr, Musa(A.S.) -o-Firoun-o-Toor
Muslahatan Keh Diya Main Ne Musalman TujheTere Nafs Mein Nahi, Garmi-e-Youm-Ul-Nashoor
Aik Zamane Se Hai Chaak Gireban MeraTu Hai Abhi Hosh Mein, Mere Junoon Ka Qasoor!
Faiz-e-Nazar Ke Liye Zabt-e-Sukhan ChahiyeHarf-e-Preshan Na Keh Ahl-e-Nazar Ke Huzoor
Khawar Jahan Mein Kabhi Ho Nahin Sakti Woh QoumIshq Ho Jis Ka Jasoor, Faqr Ho Jis Ka Ghayoor