رمزِ زندگیRamz E Zindagi

یا رب یہ جہان گزراں خوب ہے لیکن

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 16 sher · Roman Urdu ke saath

yā rab ye jahān-e-guzarāñ ḳhuub hai lekinkyuuñ ḳhvār haiñ mardān-e-safā-kesh o hunar-mand
go is kī ḳhudā.ī meñ mahājan kā bhī hai haathduniyā to samajhtī hai farañgī ko ḳhudāvand
tū barg-e-gayā hai na vahī ahl-e-ḳhirad rāo kisht-e-gul-o-lāla ba-baḳhshad ba-ḳhare chand
hāzir haiñ kalīsā meñ kabāb o mai-e-gulgūñmasjid meñ dharā kyā hai ba-juz mauiza o pand
ahkām tire haq haiñ magar apne mufassirtāvīl se qur.āñ ko banā sakte haiñ pāzand
firdaus jo terā hai kisī ne nahīñ dekhāafrañg kā har qarya hai firdaus kī mānind
muddat se hai āvāra-e-aflāk mirā fikrkar de ise ab chāñd ke ġhāroñ meñ nazar-band
fitrat ne mujhe baḳhshe haiñ jauhar malākūtīḳhākī huuñ magar ḳhaak se rakhtā nahīñ paivand
darvesh-e-ḳhudā-mast na sharqī hai na ġharbīghar merā na dillī na safāhāñ na samarqand
kahtā huuñ vahī baat samajhtā huuñ jise haqne ābla-e-masjid huuñ na tahzīb kā farzand
apne bhī ḳhafā mujh se haiñ begāne bhī nā-ḳhushmaiñ zahr-e-halāhal ko kabhī kah na sakā qand
mushkil hai ik banda-e-haq-bīn-o-haq-andeshḳhāshāk ke tode ko kahe koh-e-damāvand
huuñ ātish-e-namrūd ke sho.aloñ meñ bhī ḳhāmoshmaiñ banda-e-momin huuñ nahīñ dāna-e-aspand
pur-soz nazar-bāz o niko-bīn o kam aarzūāzād o giraftār o tahī kiisa o ḳhursand
har haal meñ merā dil-e-be-qaid hai ḳhurramkyā chhīnegā ġhunche se koī zauq-e-shakar-ḳhand
chup rah na sakā hazrat-e-yazdāñ meñ bhī 'iqbāl'kartā koī is banda-e-gustāḳh kā muñh band