Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi AanGuftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!
Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-JabrootYe Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman
Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-KhakiHai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan
Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke MominQari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!
Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke IradeDunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan
Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh ShabnamDaryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan
Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-RozAhang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman
Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein AnjumLe Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!