Asr-e-Hazir Malak-Ul-Mout Hai Tera, Jis NeQabz Ki Rooh Teri De Ke Tujhe Fikr-e-Muash
Dil Larazta Hai Hareefana Khashakash Se TeraZindagi Mout Hai, Koh Deti Hai Jab Zauq-e-Kharash
Uss Junoon Se Tujhe Taleem Ne Begana KiyaJo Ye Kehta Tha Khird Se Ke Bahane Na Tarash
Faiz-e-Fitrat Ne Tujhe Didah-e-Shaheen BakhshaJis Mein Rakh Di Hai Ghulami Ne Nigah-e-Khaffash
Madrase Ne Teri Ankhon Se Chupaya Jin KoKhalwat-e-Koh-o-Byaban Mein Woh Asrar Hain Fash