رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غزل

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Mile Ga Manzil-e-Maqsood Ka Ussi Ko SuraghAndheri Shab Mein Hai Cheete Ki Ankh Jis Ka Charagh
Mayassar Ati Hai Fursat Faqt Ghulamon KoNahin Hai Banda-e-Hur Ke Liye Jahan Mein Faragh
Farogh-e-Mueez Byan Kheerah Kar Raha Hai TujheTeri Nazar Ka Nigehban Ho Sahib-e-‘Ma Zagh’
Woh Bazm-e-Aysh Hai Mehman Ak Nafas Do NafasChamak Rahe Hain Misal-e-Sitara Jis Ke Ayagh
Kiya Hai Tujh Ko Kitabon Ne Kaur Zauq ItnaSaba Se Bhi Na Mila Tujh Ko Booye Gul Ka Suragh!