رمزِ زندگیRamz E Zindagi

شعاع اميد

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 17 sher · Roman Urdu ke saath

Muddat Se Tum Awara Ho Pehnaye Faza MeinBarhti Hi Chali Jati Hai Be-Mehri-e-Ayyam
Ne Rait Ke Zarron Pe Chamakne Mein Hai RahatNe Misl-e-Saba Tof-e-Gul-o-Lala Mein Aram
Phir Mere Tajalli Kudah-e-Dil Mein Sama JaoChoro Chamanistan-o-Byaban-o-Dar-o-Baam
Ek Shor Hai, Maghrib Mein Ujala Nahin MumkinAfrang Machinon Ke Duhwain Se Hai Sayah Posh
Mashriq Nahin Go Lazzat-e-Nazara Se MehroomLekin Sifat-e-Alam-e-Lahoot Hai Khamosh
Phir Hum Ko Ussi Seena-e-Roshan Mein Chupa LeAe Mehr-e-Jahan Taab! Na Kar Hum Ko Faramosh
Ek Shoukh Kiran, Shoukh Misal-e-Nigah-e-HoorAram Se Farigh, Sift-e-Jouhar-e-Seemab
Boli Ke Mujhe Rukhsat-e-Tanveer Atta HoJab Tak Na Ho Mashriq Ka Har Ek Zarra Jahan Taab
Choron Gi Na Main Hind Ki Tareek Faza KoJab Tak Na Uthain Khawab Se Mardan-e-Garan Khawab
Khawar Ki Umeedon Ka Yehi Khak Hai MarkazIqbal Ke Ashkon Se Yehi Khak Hai Seerab
Chashm-e-Mah-e-Parveen Hai Issi Khak Se RoshanYe Khak Ke Hai Jis Ka Khazaf Raiza Dur-e-Naab
Iss Khak Se Uthte Hain Woh Ghawwas-e-MaaniJin Ke Liye Har Behar-e-Pur Aashob Hai Payab
Jis Saaz Ke Naghmon Se Hararat Thi Dilon MeinMehfil Ka Wohi Saaz Hai Begana-e-Mizrab
Butkhane Ke Darwaze Pe Sota Hai BarhmanTaqdeer Ko Rota Hai Musalman Teh-e-Mehrab
Mashriq Se Ho Bezar, Na Maghrib Se Hazar KarFitrat Ka Ishara Hai Ke Har Shab Ko Sehar Kar !