شعاع اميد
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 17 sher · Roman Urdu ke saath
Suraj Ne Diya Apni Shuaon Ko Ye PeghamDunya Hai Ajab Cheez, Kabhi Subah Kabhi Sham
Muddat Se Tum Awara Ho Pehnaye Faza MeinBarhti Hi Chali Jati Hai Be-Mehri-e-Ayyam
Ne Rait Ke Zarron Pe Chamakne Mein Hai RahatNe Misl-e-Saba Tof-e-Gul-o-Lala Mein Aram
Phir Mere Tajalli Kudah-e-Dil Mein Sama JaoChoro Chamanistan-o-Byaban-o-Dar-o-Baam
Afaaq Ke Har Goshe Se Uthti Hain ShuaenBichre Huwe Khursheed Se Hoti Hain Hum Aghosh
Ek Shor Hai, Maghrib Mein Ujala Nahin MumkinAfrang Machinon Ke Duhwain Se Hai Sayah Posh
Mashriq Nahin Go Lazzat-e-Nazara Se MehroomLekin Sifat-e-Alam-e-Lahoot Hai Khamosh
Phir Hum Ko Ussi Seena-e-Roshan Mein Chupa LeAe Mehr-e-Jahan Taab! Na Kar Hum Ko Faramosh
Ek Shoukh Kiran, Shoukh Misal-e-Nigah-e-HoorAram Se Farigh, Sift-e-Jouhar-e-Seemab
Boli Ke Mujhe Rukhsat-e-Tanveer Atta HoJab Tak Na Ho Mashriq Ka Har Ek Zarra Jahan Taab
Choron Gi Na Main Hind Ki Tareek Faza KoJab Tak Na Uthain Khawab Se Mardan-e-Garan Khawab
Khawar Ki Umeedon Ka Yehi Khak Hai MarkazIqbal Ke Ashkon Se Yehi Khak Hai Seerab
Chashm-e-Mah-e-Parveen Hai Issi Khak Se RoshanYe Khak Ke Hai Jis Ka Khazaf Raiza Dur-e-Naab
Iss Khak Se Uthte Hain Woh Ghawwas-e-MaaniJin Ke Liye Har Behar-e-Pur Aashob Hai Payab
Jis Saaz Ke Naghmon Se Hararat Thi Dilon MeinMehfil Ka Wohi Saaz Hai Begana-e-Mizrab
Butkhane Ke Darwaze Pe Sota Hai BarhmanTaqdeer Ko Rota Hai Musalman Teh-e-Mehrab
Mashriq Se Ho Bezar, Na Maghrib Se Hazar KarFitrat Ka Ishara Hai Ke Har Shab Ko Sehar Kar !