گيسوئے تاب دار کو اور بھي تاب دار کر
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar KarHosh-o-Khirad Shakar Kar, Qalb-o-Nazar Shakar Kar
Ishq Bhi Ho Hijab Mein, Husn Bhi Ho Hijab MeinYa Tu Khud Ashkar Ho Ya Mujhe Aashkar Kar
Tu Hai Muheet-e-Bekaran, Mein Hun Zara Si AabjooYa Mujhe Hamkinar Kar Ya Mujhe Bekinar Kar
Main Hun Sadaf Tou Tere Hath Mere Guhar Ki AbrooMein Hun Khazaf Tou Tu Mujhe Gohar-e-Shahwar Kar
Naghma’ay Nau Bahar Agar Mere Naseeb Mein Na HoIss Dam-e-Neem Souz Ko Taeerak-e-Bahar Kar
Bagh-e-Bahisht Se Mujhe Hukam-e-Safar Diya Tha KyunKaar-e-Jahan Daraz hai Ab Mera Intizar Kar
Roz-e-Hisab Jab Mera Paish Ho Daftar-e-AmalAap Bhi Sharamsaar Ho, Mujh Ko Bhi Sharamsaar Kar