رمزِ زندگیRamz E Zindagi

فنون لطيفہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Ae Ahl-e-Nazar Zauq-e-Nazar Khoob Hai LekinJo Shay Ki Haqiqat Ko Na Dekhe, Woh Nazar Kya
Maqsood-e-Hunar Souz-e-Hayat-e-Abdi HaiYe Aik Nafs Ya Do Nafs Misl-e-Sharar Kya
Jis Se Dil-e-Darya Mutalatum Nahin HotaAe Qatra-e-Neesan Woh Sadaf Kya, Woh Guhar Kya
Shayar Ki Nawa Ho Ke Mughanni Ka Nafas HoJis Se Chaman Afsurdah Ho Woh Baad-e-Sehar Kya
Be-Maujaza Dunya Mein Ubharti Nahin QoumainJo Zarb-e-Kaleemi Nahin Rakhta Woh Hunar Kya!