اثر کرے نہ کرے ، سن تو لے مري فرياد
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri FaryadNahin Hai Dad Ka Talib Ye Banda’ay Azad
Ye Musht-e-Khaak, Ye Sar Sar, Ye Wusaat-e-AflakKaram Hai Ya Ke Sitam Teri Lazzat-e-Ijad
Thehar Saka Na Huwa’ay Chaman Mein Khaima’ay GulYe Hai Fasal-e-Bahari, Ye Hai Baad-e-Murad
Kasoorwar, Ghareeb-ud-Diyar Hun, LekinTera Kharaba Farishte Na Kar Sake Abad
Meri Jafa Talbi Ko Duaen Deta HaiWoh Dasht-e-Sada, Woh Tera Jahan-e-Bebunyad
Khatar Pasand Tabiyat Ko Saazgaar NahinWoh Gulistan Ke Jahan Ghaat Mein Na Ho Sayyad
Maqam-e-Shauq Tere Qudsiyon Ke Bus Ka NahinUnhi Ka Kaam Hai Ye Jin Ke Hosle Hain Zayyad