تجھے ياد کيا نہيں ہے مرے دل کا وہ زمانہ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh ZamanaWoh Adab Gah-e-Mohabbat, Woh Nigah Ka Taziyana
Ye Butan-e-Asar-e-Hazir Ke Bane Hain Madrasay MeinNa Ada’ay Kafirana, Na Taraash-e-Azrana
Nahin Iss Khuli Faza Mein Koi Ghosh’ay FaraghatYe Jahan Ajab Jahan Hai, Qafas Na Ashiyana
Rag-e-Taak Muntazir Hai Teri Barish-e-Karam KiKe Ajam Ke Mai Kadon Mein Na Rahi Mai’ay Maghana
Mere Hum Safeer Isse Bhi Asar-e-Bahar SamjheInhain Kya Khabar Ke Kya Hai Ye Nawa’ay Ashiqana
Mere Khaak-o-Khoon Se Tu Ne Ye Jahan Kiya Hai PaidaSila-e-Shaheed Kya Hai, Tab-o-Taab-e-Javidana
Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe HainNa Gila Hai Doston Ka, Na Shikayat-e-Zamana