ميرے کہستاں! تجھے چھوڑ کے جاؤں کہاں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Mere Kuhistan! Tujhe Chor Ke Jaun KahanTeri Chitanon Mein Hai Mere Ab-o-Jad Ki Khak
Roz-e-Azal Se Hai Tu Manzil-e-Shaheen-o-CharkhLala-o-Gul Se Tehi, Naghma-e-Bulbul Se Pak
Tere Kham-o-Paich Mein Meri Behisht-e-BareenKhak Teri Ambreen, Aab Tera Taabnaak
Baaz Na Ho Ga Kabhi Banda-e-Kubak-o-HamamHifz-e-Badan Ke Liye Rooh Ko Kar Doon Halaak!
Ae Mere Faqr-e-Ghayyur! Faisal Tera Hai KyaKhilat-e-Angraiz Ya Pairhan-e-Chaak Chaak!