وہي ميري کم نصيبي ، وہي تيري بے نيازي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Wohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be NiaziMere Kaam Kuch Na Aya Ye Kamal-e-Ne Nawazi
Mein Kahan Hun Tu Kahan Hai, Ye Makan Ke La-Makan Hai?Ye Jahan Mera Jahan Hai Teri Karishma Sazi
Issi Kashmakash Mein Guzreen Meri Zindagi Ki RaatainKabhi Souz-o-Saaz-e-Rumi, Kabhi Paich-o-Taab-e-Razi
Woh Faraib Khurdah Shaheen K Pala Ho Kargason MeinUssay Kya Khabar Kya Hai Reh-O-Rasm-E-Shahbazi
Na Zuban Koi Ghazal Ki, Na Zuban Se Ba-Khabar MainKoi Dil Kusha Sada Ho, Ajami Ho Ya Ke Tazi
Nahin Faqar-O-Saltanat Mein Koi Imtiaz AesaYe Sipah Ki Taeg Bazi, Woh Nigah Ki Taeg Bazi
Koi Karwan Se Toota, Koi Bad-Ghuman Haram SeKe Ameer-E-Karwan Mein Nahin Khuay Dil Nawazi