يہ مدرسہ يہ کھيل يہ غوغائے روارو
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Ye Madrasa Ye Khail Ye Ghoghaye Rawa-RoIss Aysh-e-Farawan Mein Hai Har Lehza Gham-e-Nau
Woh Ilm Nahin, Zaher Hai Ahrar Ke Haq MeinJis Ilm Ka Hasil Hai Jahan Mein Do Kaf-e-Jo
Nadan! Adab-o-Falsafa Kuch Cheez Nahin HaiAsbaab-e-Hunar Ke Liye Lazim Hai Tag-o-Dou
Fitrat Ke Nawa Main Pe Ghalib Hai Hunar MandShaam Iss Ki Manind-e-Sehar Sahib-e-Partou
Woh Sahib-e-Fann Chahe To Fann Ki Barkat SeTapke Badan-e-Meher Se Shabnam Ki Tarah Zou!