جس کے پرتو سے منور رہي تيري شب دوش
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Jis Ke Partou Se Munawwar Rahi Teri Shab-e-DoshPhir Bhi Ho Sakta Hai Roshan Woh Charagh-e-Khamosh
Mard-e-Be Hosla Karta Hai Zamane Ka GilaBand-e-Hur Ke Liye Nashtar-e-Taqdeer Hai Nosh
Nahin Hangama-e-Paikar Ke Laeik Woh JawanJo Huwa Nala-e-Murghan-e-Sehar Se Madhosh
Mujh Ko Dar Hai Ke Hai Tiflana Tabiat TeriAur Ayyar Hain Yourap Ke Shaker-Parah Farosh!