لا ديني و لاطيني ، کس پيچ ميں الجھا تو
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
La Deeni-o-La-Teeyni, Ks Paich Mein Uljha TuDaru Hai Zaeefon Ka ‘La Ghaliba-Illah Hu’
Sayyad-e-Maani Ko Yourap Se Hai NaumeediDilkash Hai Faza, Lekin Be-Nafah Tamam Aahu
Be Ashak-e-Sehargahi Taqweem-e-Khudi MushkilYe Lala-e-Paikani Khaushtar Hai Kinar-e-Ju
Sayyad Hai Kafir Ka, Nachcheer Hai Momin KaYe Dair-e-Kuhan Yani Butkhana-e-Rang-o-Bu
Ae Sheikh, Ameeron Ko Masjid Se Nikalwa DeHai Un Ki Namazon Se Mehraab Tursh Aabru