عالم آب و خاک و باد! سر عياں ہے تو کہ ميں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Alam-e-Aab-o-Khaak-o-Baad ! Sirr-e-Ayaan Hai Tu Ke MainWoh Jo Nazar Se Hai Nahan, Uss Ka Jahan Hai Tu Ke Main
Woh Shab-e-Dard-o-Souz-o-Gham, Kehte Hain Zindagi JiseUss Ki Sahar Hai Tu Ke Main, Uss Ki Azaan Hai Tu Ke Main
Kis Ki Namood Ke Liye Shaam-o-Sahar Hain Garam-e-SairShana’ay Rozgar Par Bar-e-Garan Hai Tu Ke Main
Tu Kaf-e-Khaak-o-Bebasar, Main Kaf-e-Khaak-o-Khud NigarKisht-e-Wujood Ke Liye Aab-e-Rawan Hai Tu Ke Main