تو ابھي رہ گزر ميں ہے ، قيد مقام سے گزر
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Tu Abhi Reh Guzr Mein Hai, Qaid-e-Maqam Se GuzrMisr-o-Hijaz Se Guzr, Paras-o-Shaam Se Guzr
Jis Ka Amal Hai Be-Gharz, Uss Ki Jaza Kuch Aur HaiHoor-o-Khiyaam Se Guzr, Badah-o-Jaam Se Guzr
Garcha Hai Dilkusha Bohat Husn-e-Farang Ki BaharTaeerik-e-Buland Baal, Dana-o-Daam Se Guzr
Koh Shigaaf Teri Zarb, Tujh Se Kushaad-e-Sharq-o-GharbTaigh-e-Hilal Ki Tarah Aesh-e-Niyam Se Guzr
Tera Imam Be Huzoor, Teri Namaz Be SuroorAesi Namaz Se Guzr, Aese Imam Se Guzr