رمزِ زندگیRamz E Zindagi

يہ حوريان فرنگي ، دل و نظر کا حجاب

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Hooriyan-E-Farangi, Dil-O-Nazar Ka HijabBahisht-E-Magrabiyan, Jalwa Ha’ay Pa Ba-Rakab
Dil-O-Nazar Ka Safina Sanbhal Kar Le JaMah-O-Sitara Hain Behar-E-Wujood Mein Gardab
Jahan-E-Soot-O-Sada Mein Sama Nahin SaktiLatifa’ay Azali Hai Afghan-E-Ching-O-Rubab
Sikha Diye Hain Isse Shewa Haye KhanqahiFaqeeh-E-Sheher Ko Sufi Ne Kar Diya Kharab
Woh Sajda, Rooh-E-Zameen Jis Se Kanp Jati ThiUssi Ko Aj Taraste Hain Minber-O-Mehrab
Suni Na Misar-O-Falasteen Mein Woh Azaan Main NeDiya Tha Jis Ne Paharon Ko Raisha’ay Simab
Hawa-E-Qurtuba ! Shaid Ye Hai Asar TeraMeri Nawa Mein Hai, Souz-Surroor-E-Ehad-E-Shabab