ہر شے مسافر ، ہر چيز راہي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Har Shay Musafir, Har Cheez RahiKya Chand Tare, Kya Murg-o-Maahi
Tu Mard-e-Maidan, Tu Mir-e-LashkarNoori Huzoori Tere Sipahi
Kuch Qadar Apni Tu Ne Na JaniYe Besawadi, Ye Kam Nigai !
Dunya-e-Doon Ki Kab Tak GhulamiYa Raahbi Kar Ya Padshahi
Peer-e-Haram Ko Dekha Hai Mein NeKirdar Be-Souz, Guftar Waahi