رمزِ زندگیRamz E Zindagi

تازہ پھر دانش حاضر نے کيا سحر قديم

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sahar-e-QadeemGuzar Iss Ehad Mein Mumkin Nahin Be-Chob-e-Kaleem
Aqal Ayyar Hai, Sau Bhais Bana Leti HaiIshq Bechara Na Mullah Hai Na Zahid Na Hakeem!
Aysh-e-Manzil Hai Ghareeban-e-Mohabbat Pe HaramSub Musafir Hain, Bazahir Nazar Ate Hain Maqeem
Hai Garan Sair Gham-e-Rahla-o-Zaad Se TuKoh-o-Darya Se Guzar Sakte Hain Manind-e-Naseem
Mard-e-Darvaish Ka Sarmaya Hai Azadi-o-MargHai Kisi Aur Ki Khatir Ye Nasaab-e-Zer-o-Seem