رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ڈھونڈ رہا ہے فرنگ عيش جہاں کا دوام

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka DawamWaye Tamana-e-Kham, Waye Tamana-e-Kham !
Peer-e-Haram Ne Kaha Sun Ke Meri RuedadPukhta Hai Teri Faghan, Ab Na Isse Dil Mein Thaam
Gharche Hai Afsaye Raaz, Ahl-e-Nazar Ki FagahanHo Nahin Sakta Kabhi Shewa-e-Rindana Aam
Halqa-e-Sufi Mein Zikr, Benam-o-Besouz-o-SaazMain Bhi Raha Tashna Kaam, Tub Hi Raha Tashna Kaam
Aah Ke Khoya Gya Tujh Se Faqeeri Ka RaazWarna Hai Maal-e-Faqeer Saltanat-e-Rome-o-Sham