ڈھونڈ رہا ہے فرنگ عيش جہاں کا دوام
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka DawamWaye Tamana-e-Kham, Waye Tamana-e-Kham !
Peer-e-Haram Ne Kaha Sun Ke Meri RuedadPukhta Hai Teri Faghan, Ab Na Isse Dil Mein Thaam
Tha Arini Go Kaleem, Main Arini Go NahinUss Ko Taqaza Rawa, Mujh Pe Taqaza Haraam
Gharche Hai Afsaye Raaz, Ahl-e-Nazar Ki FagahanHo Nahin Sakta Kabhi Shewa-e-Rindana Aam
Halqa-e-Sufi Mein Zikr, Benam-o-Besouz-o-SaazMain Bhi Raha Tashna Kaam, Tub Hi Raha Tashna Kaam
Ishq Teri Intaha, Ishq Meri IntahaTu Bhi Abhi Na-Tamam, Main Bhi Abhi Na-Tamam
Aah Ke Khoya Gya Tujh Se Faqeeri Ka RaazWarna Hai Maal-e-Faqeer Saltanat-e-Rome-o-Sham