مکتبوں ميں کہيں رعنائي افکار بھي ہے؟
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Maktabon Mein Kahin Raanayi-e-Afkaar Bhi Hai?Khanqahon Mein Kahin Lazzat-e-Asrar Bhi Hai?
Manzil-e-Rahrawan Door Bhi, Dushwar Bhi HaiKoi Iss Qafle Mein Qafla Salaar Bhi Hai?
Barh Ke Khayber Se Hai Ye Maarka-e-Deen-o-WatanIss Zamane Mein Koi Haidar-e-Karar Bhi Hai?
Ilm Ki Had Se Pare, Banda-e-Momin Ke LiyeLazzat-e-Shauq Bhi Hai, Naimat-e-Didar Bhi Hai
Peer-e-Maikhana Ye Kehta Hai Ke Aiwan-e-FarangSust Bunyad Bhi Hai, Aaeena Diwar Bhi Hai !