رمزِ زندگیRamz E Zindagi

برابر سے بچ کر گزر جانے والے

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

barābar se bach kar guzar jaane vaaleye naale nahīñ be-asar jaane vaale
nahīñ jānte kuchh ki jaanā kahāñ haichale jā rahe haiñ magar jaane vaale
mire dil kī betābiyāñ bhī liye jādabe paañv muñh pher kar jaane vaale
tire ik ishāre pe sākit khaḌe haiñnahīñ kah ke sab se guzar jaane vaale
mohabbat meñ ham to jiye haiñ jiyeñgevo hoñge koī aur mar jaane vaale