رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل میں کسی کے راہ کئے جا رہا ہوں میں

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 13 sher · Roman Urdu ke saath

dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñkitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
duniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñsarf-e-nigāh-o-āh kiye jā rahā huuñ maiñ
fard-e-amal siyāh kiye jā rahā huuñ maiñrahmat ko be-panāh kiye jā rahā huuñ maiñ
aisī bhī ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñzarroñ ko mehr-o-māh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh se lage haiñ ishq kī azmat ko chaar chāñdḳhud husn ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
daftar hai ek māni-e-be-lafz-o-saut kāsaada sī jo nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
aage qadam baḌhā.eñ jinheñ sūjhtā nahīñraushan charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
māsūmi-e-jamāl ko bhī jin pe rashk haiaise bhī kuchh gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq haiye jurm gaah gaah kiye jā rahā huuñ maiñ
uThtī nahīñ hai aañkh magar us ke rū-ba-rūnādīda ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
gulshan-parast huuñ mujhe gul hī nahīñ aziizkāñToñ se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhairjaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh se adā huā hai 'jigar' justujū kā haqhar zarre ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ