فکر منزل ہے نہ ہوش جادۂ منزل مجھے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 16 sher · Roman Urdu ke saath
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jāda-e-manzil mujhejā rahā huuñ jis taraf le jā rahā hai dil mujhe
ab zabāñ bhī de adā-e-shukr ke qābil mujhedard baḳhshā hai agar tū ne bajā.e-dil mujhe
yuuñ taḌap kar dil ne taḌpāyā sar-e-mahfil mujheus ko qātil kahne vaale kah uThe qātil mujhe
ab kidhar jā.ūñ batā ai jazba-e-kāmil mujhehar taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
rok saktī ho to baḌh kar rok le manzil mujhehar taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
jaan dī ki hashr tak maiñ huuñ mirī tanhā.iyāñhaañ mubārak fursat-e-nazzāra-e-qātil mujhe
har ishāre par hai phir bhī gardan-e-taslīm ḳhamjāntā huuñ saaf dhoke de rahā hai dil mujhe
jā bhī ai nāseh kahāñ kā suud aur kaisā ziyāñishq ne samjhā diyā hai ishq kā hāsil mujhe
maiñ azal se sub.h-e-mahshar tak farozāñ hī rahāhusn samjhā thā charāġh-e-kushta-e-mahfil mujhe
ḳhūn-e-dil rag rag meñ jam kar rah gayā is vahm sebaḌh ke siine se na lipTā le mirā qātil mujhe
kaisā qatra kaisā dariyā kis kā tūfāñ kis kī maujtū jo chāhe to Dubo de ḳhushkī-e-sāhil mujhe
phūñk de ai ġhairat-e-soz-e-mohabbat phūñk deab samajhtī haiñ vo nazreñ rahm ke qābil mujhe
toḌ kar baiThā huuñ rāh-e-shauq meñ pā-e-talabdekhnā hai jazba-e-be-tābī-e-manzil mujhe
ai hujūm-e-nā-umīdī shād-bāsh-o-zinda-bāshtū ne sab se kar diyā begāna-o-ġhāfil mujhe
dard-e-mahrūmī sahī ehsās-e-nākāmī sahīus ne samjhā to bahar-sūrat kisī qābil mujhe
ye bhī kyā manzar hai baḌhte haiñ na rukte haiñ qadamtak rahā huuñ duur se manzil ko maiñ manzil mujhe