رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آج کیا حال ہے یا رب سر محفل میرا

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

aaj kyā haal hai yārab sar-e-mahfil merāki nikāle liye jaatā hai koī dil merā
soz-e-ġham dekh na barbād ho hāsil merādil kī tasvīr hai har ā.īna-e-dil merā
sub.h tak hijr meñ kyā jāniye kyā hotā haishaam hī se mire qaabū meñ nahīñ dil merā
mil ga.ī ishq meñ īzā-talabī se rāhatġham hai ab jaan mirī dard hai ab dil merā
paayā jaatā hai tirī shoḳhi-e-raftār kā rañgkaash pahlū meñ dhaḌaktā hī rahe dil merā
haa.e us mard kī qismat jo huā dil kā sharīkhaa.e us dil kā muqaddar jo banā dil merā
kuchh khaTaktā to hai pahlū meñ mire rah rah karab ḳhudā jaane tirī yaad hai yā dil merā