رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عشق لا محدود جب تک رہنما ہوتا نہیں

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 11 sher · Roman Urdu ke saath

ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñzindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñqatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ
us se baḌh kar dost koī dūsrā hotā nahīñsab judā ho jaa.eñ lekin ġham judā hotā nahīñ
zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsamaut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñishq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ
dard se māmūr hotī jā rahī hai kā.enātik dil-e-insāñ magar dard-āshnā hotā nahīñ
mere arz-e-ġham pe vo kahnā kisī kā haa.e haa.eshikva-e-ġham sheva-e-ahl-e-vafā hotā nahīñ
us maqām-e-qarb tak ab ishq pahuñchā hī jahāñdīda-o-dil kā bhī aksar vāstā hotā nahīñ
har qadam ke saath manzil lekin is kā kyā ilaajishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
allāh allāh ye kamāl aur irtibāt-e-husn-o-ishqfāsle hoñ laakh dil se dil judā hotā nahīñ
kyā qayāmat hai ki is daur-e-taraqqī meñ 'jigar'aadmī se aadmī kā haq adā hotā nahīñ